Mobile phone ke booting problems fault ,solutions ko kaise repair kare.

   


       Hii friends ajke topic me hum janege  @mobile phone jab booting me hi rukh jata hai ,logo pe atak ke mobile display white ho jata hai @  tab aise mobile phone ko kaise repair kiya jata hai kaise trace kiya jata hai uski puri jankari aapko is post me di jayegi. Agar aapke mobile phone me battery lagate hi mobile phone apne aap on ho raha hai or open hone ke bich me hi yaneke mobile ke logo per hi ruk jata hai mobile phone open hi nahi hota hai tab hume konse componts ko check karna hota hai or une kaise trace karna hai .
mobile ko logo problems ke liye kaise repair kare

      Jadater mobile me logo per atak ne ke fault me ate hai tab aapko cool testing ke jariye mobile phone ko check karna hota hai @ cool testing yaneke aapko mobile phone ke sabhi componts mobileke andar lage part ko trace karna check karna hoat hai jadatar aise fault android mobile phone me ate hai . jo abhi kuch 2014 se lekar 2017 ke mobile luanch huve hai unme jadater aise problems create hoti hai magar uska bhi solution hai hamare pass .



    Muje comment me bhi bataya gaya hai ki @ mobile phone logo per hi atak gaya hai uske aage mobile phone on hi nahi ho raha hai aise problems ko kaise solve kiya jata hai isliye aj mai un logo ke liye ye post kar raha hu jinne isaki sakt jarurat hai. So chaliye dekhet hai aise fault ko kaise repair kiya jata hai kaise mobile ko trace karke service ko tik kiya jata hai.

    Sabse pehle aapko mobile phone ko savdhani se open karna hai open krne ke liye darne ki koi baat nahi hai kyuki mobile phone me koi wiring vagaire lage huve nahi hote hai bus mobile phone ko open karte samy is baat ka dyan rakhna hota hai ki mobile ke jo componts hai ,display connecter hai,touch screen connecter hai ,mic,speaker, ccamera aise part ke connecter ko dyan me rakhte huve mobile ko open karna chaiye.


1.  Mobile phone ko open kare chahe vo koi bhi company ka ho jaise anroid, blackberry,lenovo,viva,intex ,sony,samsung,lava, micromaxx,  koi bhi kisibhi company ka mobile ho aap hamare step ko follow karke unko repair kar sakte hai.

2.  Mai aapko bata du ki mobile phone repairing tutorials padneme kuch logo ko boaring lagata hai magar mai bata du ki jo enjeeneering karte hai docter ke course karte hai vo log 6 se 7 years tak padai karte hai books ko read karte hai tab jake vo ek succsess docter ya succsess pperson ban pate hai isliye aap jitane jada baar article read karoge utane jaldi aapko mobile repairing ke bareme samaj me aa jayega. So hamare site ke content ko bhi aap samaj ke dyan se padoge to aap bhi ek acche technician ban jaoge .


3.  So ab  jab kisibhi mopbile me auto restart mobile phone booting hota hai tab aapko in step ko follow karna hai sabse pehla kaam hota hai mobie phone ko dekhna kahi koi part damage to nahi hai ya water damage ke wajah se to aise fault create ho rahe so agar nahi to niche ke step follow kare.

 Mobile phone ke booting problems kaise solve kare.


1.   Ja kisibhi mobile me booting problems ki samsya ati hai tab aapko mobile phone ko software ke liye check karna chaiye agar software ke jariye bhi mobile phonetik nahi hota hai tab aapko mobile phone ko  flash  karna hota hai jisaki janakri humne yaha di huvi hai.

2.  Ab maine uper aapko 2 tarike bata diye hai agar uper ke tarikese mobile ko flash karnese se ya software se mobile ki booting problems solve nahi hoti hai tab aapko mobile phone ke componts ko clean karna hota hai.

3.   Tisara way ye hai ki ab aapko mobile phone ko pcb ko tik se good clean karna hai. Ek brush le ab  thinner ya ip adress ya fir elmaa in tinome se agr aapke pass koi bhi cleaner liquied hai to aap mobile ko sahise dyan se pure pcb body ko elmaa ki help se clean kare. Pure mobile ko clean karne ke baad apko mobile ke pcb ko sukhana hai yaneke jo elmaa apne abhi mobile pcb per clean karne ke liye use kiya hai vo pcb part ke andar chala gaya hai ab jo bhi carbonn ya koi bhi aise damage part hoge ya koi line dusre line tak rukavat la rahi thi vo sabhi problems mobile ko clean karne ke baad solve ho jayegi.

4.  Magar elmaa ya kisibhi liquied se mobile pcb ke part ko clean karne ke baad hot air gun se sukhale ,ya apke pass hotair hair mashine se bhi aap sukha sakte hai.  Kyuki jo liquied part ke nadar hai vo acchese sukh jaye or pure mobile ke part tik se clean ho jaye.

5.  Uper bataye tarikese agar mobile phone repair nahi hota hai booting problems mobile phone logo per atak ne ki problem solve nahi hoti hai tab aapko mobile phone ke all part ko check karna hota hai.

6.  Agar abhi bhi mobile open karne per booting per atk raha hai ya logo per atak raha hai mobile aage on hi nahi ho raha hai white display ho raha hai tab aapko niche ke step follow karna padege.

mobile ke booting problems ko kaise fix,solve kare.

1*  ab  baat ati hai mobile phone ko trace karne ki ab aapko mobile pphone ke pcb per jitane bhi part lage huve hai un sabko trace karna hai check karna hai.

2.*  mobile phon agar booting per atak raha hai company ke logo per atak raha hai onlu samsung galaxy aisa name batata hai or uske aage mobile on hi nahi hota hai tab aapko mobile phone ke camera ko fault ke liye check karna hota hai. Jo keypad ke mobile hote hai unme camera ke wajah se bhi mobile logo pper atkne ke fault ate hai so camera ko change karke dekhe problem solve ho jayegi.

3.*agar firbhi problems solve nahi hota hai tab aapko mobile phone ke part
 ko trace karna hi jaise maine niche bataya hai konse prt ko check krane hai.

@ mobile phone ke display ko faulti ke liye check kare, mobile kecharging connecter ko change karke dekhe,keyapd pad ko change karkedekhe,mobile  smartphone ke power ic proccessor ko faulti ke liye check kare, camera faulti ke liye change karkedekhe,blutooth ,wifi,network fault ke liye mobile ko check kare,headphone connecter ko check kare, mobile phone ke battery connecter ko change kare,mobile 

Phone ko touch screen ko replace karke dekhe, ya fir koi paralall part bhi short ho sakte hai unko bhi check kare jaise capaciter,diode,crystel, ics,fudge,resistance,mobile battery@  is tarh se aapko booting problem sme componts ko check karna hota hai unko replace karke dekhna hota hai .
Tab jake apke mobile phone me se booting problems solve ho sakti hai.

 So maine uper aapko 4 se 5 ways bataye hai jinko read karke aap koi bhi mobile phone ko repair problems booting solutions ke liye check kar sakte hai logo,booting problem sko sahi tik repair kar sakte hai. In 3 ways ke jariye 100% aapke mobile ki booting fault solve ho jayegi. Agar aapk koi sujav hai ya koi sawal hai to aap comment me bata sakte hai. Is post se aapko help mili hai ya nahi vo bhi aap comment box me bata sakte hai.



I hope ki aapko @  mobile phone ke booting problems  solve solutoins ko kaise repair kare@ ki jankari acchi lagi hogi is site ko subscribe jarur karle kyuki hum aise hi mobile phone repairing ke tutorial aapke sath share karte rahege, website ko like kare share kare or hamare faceboook group me  shamil ho jaye  thanks for read this article.



  Tag :
             ‘ mobile ke booting problem kaise fix kare’